Kya aap apne business ke liye ek acche blogging platform ki talas kar rahe hain ?
jab pahle se hi internet par itne jyda vikalp ho to aap kaise apne liye ek accha platform choose karoge or vahi par agar aap ek beginner ho to aapke liye sahi platform choose karna bahut hi muskil ho sakta hain | par aapko tension nahi karni hain kyuki aaj ke is article me hum aapko kucch bahut hi acche platforms ke baare me batayenge jinka use karke aap apne blogging carrier ko boost kar sakte ho
hum aapko is article me in sabhi platforms ke pros and cons bhi batayenge taki aapko ek accha platform choose karne me koi problem naa aaye
Best Blogging Platform Kaise Choose Kare ?
isse pahle ki hum aage badhe usse pahle aapko ye janna jaruri hain ki hume ek acche blogging platform me kya dekhna chahiye
aapko sabse pahle to apna blog shuru karne se pahle ye dekhna chahiye ki aapka platform set up hona chahiye or isme designkarne ke liye aapko kisi bhi tarah ki coding ki jarurat nahi padhni chahiye
iske alava aapko is baat par bhi vichar karna chahiye ki aap kis tarah ka blog banana chaha rahe ho kyuki bahut se platform aise hain jo aapko alag alag blog ke liye use karne chahiye jinke baare me hum aapko niche batane wale hain
sath hi jaise jaise aapka blog badhta jayega vaise vaise aapko iske design me bhi changes karni pade or iske liye aapko accha platform kaam aayega
wrong platform choose karne se aapko future me switch karne me problem ho sakte hain
phir aapko apne blog se paise bhi kamane hain to uske liye bhi apko ek acche platform ki jarurat hogi to chaliye jaan lete hain 2021 ke sabse acche blogging platforms
Best Blogging Platforms for 2021
ab aapko meine upar ye to bata diya hain ki aapko ek acche platform ko choose karte time kin kin baato ka dhyan rakhna chahiye to ab chaliye acche platforms par ek najar daal lete hain
1. WordPress.org – One of The Best Blogging Platforms
wordpress puri duniya me ek sabse accha free blogging platform hain | internet par jitni bhi website hain unme se 30% wordpress par bani hui hain ye sun kar aapko andaja lag gaya hoga ki ye platform kitna popular hain
wordpress ek open source or free blogging platform hain jo aapko kucch hi minto me ek blog or wordpress website bana kar de sakta hain or iske liye aapko domain name or ek hosting ki jarurat hogi kyuki wordpress ek self-hosted solution hain
yadi aap apne blog par future me niyandran rakhna chahte ho to wordpress ek bahut hi accha platform hain | or e chij isko ek accha self-hosted platform banati hain
Pros
- pura Control On personal blog, business website, or eCommerce store with its content management system.
- jaise jaise aapka blog badhta hain to aise aise hi aap isme form,online store,or membership areas bana sakte hain | ye aapke blog se paise kamane ke liye wordpress bahut acchi suvidha deti hain
- apni site ke anushar aap yaha hajaro themes me se choose kar sakte ho | jo aapko apke competitor se alag dikhne me madad karta hain
- apne blog ki karyesamta ko badhane ke liye aap isme 54,000 se jyada free pluging milte hain jinki help se aap apni site par contact form or membership aadhi bana sakte ho ye bilkul hi free hain
- wordpress.org ek seo optimized website hain or isme aap apne url tags laga sakte ho or iske sath sath aapko isme aapko free seo pluging bhi mil jaate hain jiski help se aap apne blog ke content ko search me laa sakte ho
Cons
- wordpress ke sath ek website kaise banaye ye sikhna bahut hi jaruri hain
- website ka backup or content aapki resposiblity hain
WordPress.org Pricing
vaise to wordpress sabhi users ke liye free hain par agar aapko apni koi website ya blog banana hain to uske liye aapko domain naam or hosting buy karne ki jarurat hogi
sabse acchi wordpress hosting bluehost hain isko wordpress.org ki permission bhi mili hain or ye company aapko hosting ke sath free domain bhi milta hain
bluehost me aapko 3.05$ per month ke hisab se hosting milti hain or sath me aapko isme domain, cdn or ssl certificate bhi free me milta hain
2. Gator By HostGator
gator ek bahut hi popular hosting provider company hostgator ke drawa banaya gaya ek web builder hain iski help se aap apne blog ya website ko bas drop and drag ke dwara bana sakte ho e bahut hi acchi service provide karta hain aapko
vaise to hostgator ek bahut hi acchi wordpress website banane ki hosting proveder hain par agar aapko wordpress se alag kisi platform par website yaa blog banana hain to phir aap gator ka use kar sakte ho
Pros
- drag and drop builder se apni website ya blog ko costemize kr sakte ho
- agar aapko kisi bhi techniq ki knowledge nahi hain to aap phir bhi apni website ya blog bana sakte ho
- hostgator apki site ke backup, security or performance ko dekhti hain
- free domain or ssl milta hain
- aap apne blog ko bina kisi problem ke ek e-commerce website me badal sakte ho
Cons
- isko aap free me use nahi kar sakte ho par isme aapko 45-days ki money back guarantee milti hain
- jo bhi iske online feature hain wo bahut hi kam free me hain balki saare paid hi hain
- app library bahut hi limited hain
Gator Pricing
hostgator me aapko 3.85$ me per month webhosting milti hain or iske saath aapko free domain,ssl certificate or cdn free milta hain
3. Hubspot CMS Hub

hubspot cms hub bhi ek bahut hi accha free website builder hain jo aapko bahut hi acchi service provide karta hain | or iske sath sath aapko bahut hi acche acche feature bhi milte hai jinka use karke aap apni website ya blog ko bahut hi accha design kar sakte ho
iske alava aapko isme or bhi bahut hi acche tools mil jaate hai jaise SEO or website analytics ke related jinka aap bilkul hi free me use kar sakte ho
Pros
- ye un logo ke liye hain jin hone abhi blogging shuru kari hain or iski help se aap kisi bhi blog ya website ko drag and drop ki facility se bana sakte ho
- isme aapko e-mail marketing or visitor behalf ke baare me bhi pata chalta hai
- aap apne blog ko personized kar sakte ho
Cons
- ye aapko free me nahi milti par kucch time ke liye ye free trial dete hain
- isme aapko e-commerce website ke feature nahi milte balki aap iski help se ek accha blog jarur bana sakte ho
Hubspot CMS Hub Pricing
aap hubspot cms ka free trial 14 days tak free me use kar sakte ho uske baad aapko 25$ per month pay karne honge
4. WordPress.com
wordpress.com beginners ke liye ek bahut hi accha blogging platform hain | iska nirmal wordpress.org ke cofounder Matt Mullenweg. ke dwara kiya gaya hain
wordpress.com me aapko ek free blog hosting ko use karne ki permission mil jaati hain | agar aapko or bhi kucch extra feature chahiye to aap unko buy kar sakte ho jaise custom domain name and other
ye platform un logo ke liye banaya gaya hain jo wordpress ko use to karna chahte hain par unko jyada feature nahi chahiye
wordpress.com ka nirman 2005 me kiya gaya tha or ye platform un logo ke liye banaya tha jinko koi bhi advance feature nahi chahiye or ye time ke anushar bahut hi popular hain
Pros
- isko satrt karne ke liye aapko kisi bhi tarah ke setup karne ki jarurat nahi hain
- wordpress.com ek free or bahut hi easy hain use karne me aap bahut hi aasani se iska use kar sakte ho
- ye service aapko bilkul hi free me milti hain or agar aap custom domain nahi lena chahte to phir bhi aapko iske dwara ek free subdomain mil jaata hain jaise ye https://example.wordpress.com. hain
Cons
- isme aapko limited hi feature milte hain apne blog ko costemize karne ke liye
- limited theme for website
- limited pluging for costomize
- isme aapka pura adhikar nahi hota or agar aap koi bhi galti kar dete ho wordpress.com ke terms ke khilaf to ye aapka account suspend kar deta hain
- aap isme apni ads bhi nahi chala sakte ho paise bhi nahi kama swate ho
WordPress.com Pricing
A basic WordPress.com account is free, and it’ll have advertisements and branding. The personal plan starts at $4 per month, billed annually.
5. Tumblr
tumblr ek social media networking ke sath ek microniche blog hain |ye feature isko hamari list ke baaki sabhi platforms se alag banata hain ye aapko iske sath or bhi bahut saare feature deta hain jaise ki aap apne blog posts ko social media par bhi share kar sakte ho
Pros
- ye ek free to use platform hain or iske sath aapko ek subdomain bhi milta hain iski tarahhttps://example.tumblr.com. or isko aap apne premium domain ke sath bhi connect kar sakte ho
- tumblr ek easy to use hain
- intigrate social media
- is par aap koi bhi blog bilkul hi aasani sebana sakte ho jaise,image,video,audio or bhi bahut saare
Cons
- isme aapko limited hi feature milte hain
- aap apne blog ki theme change kar sakte ho par uska design nahi badal sakte
- isme se aapko blog back up nahi le sakte ho
6. Medium.com
medium ek bahut hi acchi Community pltform hain writter, jounalists,bloggers or experts ke liye | iska jo blogging interface hain wo bahut hi aasan hain par aapko isme bahut hi limited feature milte hain
medium platform un social media ki tarah hain jaha par aap apna account bana kar content public karna shuru kar dete ho or aapka address is tarah hoga https://medium.com/@yourname.
Pros
- isko use karna bahut hi aasan hain bina kisi knowledge aap iska use kar sakte ho
- bina coding ke use kare
- aap iske dwara bahut hi acchi active community ke paas pahunch sakte ho
- monetizing option bhi mil jaate hain aap apne content ko monetize bhi kar sakte ho
- design easy your blog post and article
Cons
- It’s hard to build a brand on medium with limited design options.
- Your audience is owned by medium, so if you lose your blog, you lose your followers.
- It isn’t possible to use a custom domain name.
- You can’t run your own ads to make money from your blog
7. Wix.com
wix ek aisa platform hai jo aapko ek blog ko banane or host karne ki suvidha deta hain | small business bahut hi aasani apne blog ko bana sakte hain drag and drop editor ki madad se wix dwara aapko apne blog me ek naya blog add karna bhi bahut hi aasan hain
wix ke puri duniya me lakho user hain | is ka nirmal 2006 me kiya gaya tha bina coding wali websites banane ke liye
Pros
- wix ke paas third party tamplete or apps hain jinki help se aap apne blog ko acche se design kar sakte ho
- aap bahut hi aasani se apni blog website bana sakte ho drag and drop editor ke sath
- website ki setting karna bahut hi aasan hain or easy hain
Cons
- iska free virsion limited time ke lie hain or wixs branding
- limited third party apps available
- agar aap ek baar kisi tamplete ko choose kar lete ho to uske baad aap usko badal nahi sakte
- paid plan me hi aap e-commerce feature access kar sakte ho
- hamari list me jitne bhi platform hain unse jyada acche blogger feature nahi hain
8. Squarespace.com
squarespace bhi ek bahut hi accha platform hain bloggers ke liye or beginners ke lie bhi aap iska use apne blog or website banane ke lie kar sakte ho or e bhi ek free platform hain
hamari list ki or sabhi platform ki tarah aapko isse website ya blog banane ke liye kisi tarah ki coding ya technical language ki jarurat nahi hain
squarespace ka main motive ye hain ki ye un small business mans ke liye hain jo abhi beginner hain iski shuruat 2003 mein hui thi
Pros
- bahut hi aasani se aap iska use kar sakte ho bina kisi technical know-how
- isme aap premium eail marketing bhi add kar sakte ho
- isme aapko bahut hi acche website design tamplete mil jayenge
Cons
- isme aapko limited features milte hain
- integrations ke lie aapko bas kucch hi tools or service milti hain
CONCLUSION !
Aaj ke is article me humne aapko 8 best blogging platforms ke baare me bataya hain or inki help se aapko bahut hi jyada fayeda hoga or agar aapko koi acche blogging platform kaise choose kare isme problem aa rahi ho to aap mujhe comment karke pucch sakte ho i hope ki aapko ye article accha laga hoga or aapko isse bahut kucch sikhne ko mila hoga or agar sikhne ko mila ho to please cooment me comment jarur kare thanks !